donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khumar Dehlvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* zulmat-e-shab ki nazar rooye-e-sahar tak pahunchi *

zulmat-e-shab ki nazar rooye-e-sahar tak pahunchi.,
yaani shamsheer-e-sitamgar mere sar tak pahunchi.!

masnad-e-Shahi pe itraa to rahe ho lekin.,
aahe-mazloom agar baam-e-asar tak pahunchi.?

aasmaa'n saaf tha aur chaand bhi nikla lekin.,
chaandni aaj bhi maire nahi'n ghar tak pahunchi.!

maire qadmo'n ki mehak paate hi manzil aksar.,
khairmaqdam ke liye raahe-guzar tak pahunchi.!

laa-jawab aaj bhi gulchee'n hai k aakhir kaise.,
ek maasoom kali bazm-e-sharar tak pahunchi.!

kya zamane ki rawish hai k nigaahe-sangdil.,
jab bhi pahunchi hai kisee kaanch ke ghar tak pahunchi.!

darmiyaa'n aag ke hairaa'n hai padausi maira.,
jo lagaaee thi udhar kaise idhar tak pahunchi.!

khwab ik shah ka tabeer me dhaala jisne.,
Shahi talwar usee dast-e-hunar tak pahunchi..!!

        (KHUMAR DEHLVI)

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 382