donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hasan Chishti
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Be sabab murid e ilzaam hai kya arz karooN *

Ghazal By Hasan Chishti

 

Be sabab murid e ilzaam hai kya arz karooN

Dil ki badnam thaa badnaan hai kya arz karooN

 

Manzil e subh e bahaaraaN hai nazar se oojhal

Mustaqil silsilah e shaam hai kya arz karooN

 

YooN to pahle bhi mila zahr bhara jam mujhe

Ab bhi Suqraat mera naam hai kya arz karooN

 

Dil ki begaanah e aaghaaz e wafa thaa pahle

Ab helaak e gham e anjaam hai kya arz karooN

 

Asr e haazir ke maseehaaooN ne woh zakhm diye

Zindagi larzah bar andaam hai kya arz karooN

 

Mera andaaz e junooN aur meri tarz e nawa

Qafile waalon mein kyoN aam hai kya arz karooN

 

Khoon e di nazr e sukhan kar ke Hasan kya paaya

Sirf dushnaam hi dushnaam hai kya arz karooN

 

 
 
 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 429