donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fani Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ahd-e-jawaani aur phir dil mein unki mohabbat kya kahiye *

Ahd-e-jawaani aur phir dil mein unki mohabbat kya kahiye
Deewane ka khwab aur woh bhi khwab-e-qayamat kya kahiye

Harf-e-tamanna be-maani sa naqsh-e-vafa so dhundhla sa
Dil ki haqeeqat kuch bhi nahi hai dil ki haqeeqat kya kahiye

Hashr bhi guzra hashr mein bhi yeh soch kar hamne kuch na kaha
Gham ki hikyat kaun sunega gham ki haqeeqat kya kahiye

Woh na shai maghrur magar kuch himmat-e-arz-e haal to ho
Shukr kiye bhi ban na padhta harf-e-shikayat kya kahiye

Ek ghalat andaaz-e-nazar se dil ki tabaahi sahi na thi
Dard se mil kar tu ne ladha di sabr ki daulat kya kahiye

Marg-e-mohabbat se ‘Fani’ takmeel vafa ham kya karte
Ham ne jeene se hi na paayi ab tak fursat kya kahiye

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 399