donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fani Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Majboor-e-shikayat hoon taseer ko kya kahiye *

Majboor-e-shikayat hoon taseer ko kya kahiye
Tadbir muqaddar this taqdeer ko kya kahiye

Firdaus badaman hai har naqsh-e-khayal inka
Yeh shaan-e-tassavur hai tasveer ko kya kahiye

Vabasta sad hasrat be-vasat dil hoon
Apne mein hi zindaan hoon zanjeer ko kya kahiye

Woh barq ki yurush hai har shaakh mein larzish hai
Aise mein nasheman ki taameer ko kya kahiye

Sunte hain hijaab unka irfaan-e-tamanna hai
Ab harf-e-tamanna ki taameer ko kya kahiye

Yaraab teri rahmat se maayus nahi ‘Fani’
Lekin teri rahmat ki takhir ko kya kahiye

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 504