Is noore-e-majsam ke afsaane ko kya kahiye
Hai shama bhi parvana parvaane ko kya kahiye
Har dar se tere talab nakaam palat aaye
Kaabe mein hai sannata butkhaane ko kya kahiye
Kuch khel na tha yun bhi parvaane ka jal bujhna
Jal kar na bujhe aise parvaane ko kya kahiye
Aaghaz bhi to jis ka anjaam bhi to jis ka
Us dard-e-mohabbat ke afsaane ko ya kahiye
Abaadi ki abaadi veerane ki veerana
Armaan bhare dil ke kashane ko kya kahiye
Ujri hui aankhon mein raunaq tere dam se thi
Veeran hain har basti veerane ko kya kahiye
Kis ne aise dekha hai ae hasrat-e-nazzarah
‘Fani’ to hain deewana deewane ko kya kahiye