|
* Ajab apana haal hota jo visal-e-yaar hota *
Ajab apana haal hota jo visal-e-yaar hota,
Kabhi jan sadaqe hoti kabhi dil nisar hota,
Na maza hai dushmani me'n na hai lutf dosti me'n,
Koi ghair ghair hota koi yar yar hota,
Ye maza tha dillagi ka ke barabar aag lagti ,
Na tumhe'n qarar hota na hame'n qarar hota,
Tere wade par sitamagar abhi aur sabr karte,
Agar apani zindagi ka hame'n aitabar hota.
|
|