|
* Aarazuu hai vafaa kare ko_ii *
Aarazuu hai vafaa kare ko_ii,
Jii na chaahe to kyaa kare ko_ii,
Gar marz ho davaa kare ko_ii,
Marne vaale kaa kyaa kare ko_ii,
Koste hai.n jale hue kyaa kyaa ,
Apane haq me.n duaa kare ko_ii,
Un se sab apanii apanii kahate hai.n,
Meraa matalab adaa kare ko_ii,
Tum saraapaa ho suurat-e-tasviir,
Tum se phir baat kyaa kare ko_ii. |
|