donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Anjum Manpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* vaa.iz kī kaḌvī bātoñ ko kab dhyān meñ apne laate haiñ *

vaa.iz kī kaḌvī bātoñ ko kab dhyān meñ apne laate haiñ 

ye rind-e-balā-nosh aise haiñ sunte haiñ aur pī jaate haiñ 

ham aap se jo kuchh kahte haiñ vo bilkul jhuuT ġhalat ik dam 

aur aap jo kuchh farmāte haiñ be-shubah bajā farmāte haiñ 

dīvāna samajh kar chheḌ ke vo sunte haiñ hamārī bātoñ ko 

ham matlab kī kah jaate haiñ vo soch ke kuchh rah jaate haiñ 

majbūr-e-mohabbat kī hālat begāna-e-ulfat kyā jaane 

ham ġhairoñ ke ta.ane sunte haiñ aur sun kar chup rah jaate haiñ 

gardan hai jhukī nazreñ nīchī aur lab pe hai un ke tabassum bhī 

hai qābil-e-dīd vo shoḳhī bhī jis vaqt ki vo sharmāte haiñ 

behosh paḌe haiñ ishq meñ aur sar hai kisī ke zaanū par 

tadbīreñ laakh kare koī ab hosh meñ ham kab aate haiñ 

kaam 'anjum' kā jo tamām kiyā ye aap ne vāqa.ī ḳhuub kiyā 

kam-baḳht isī ke laa.eq thā ab aap abas pachhtāte haiñ 


ٌٌ۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 561