donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Agha Qazalbash Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kya KHabar thi raaz-e-dil apna aya.n ho jaega *

kya KHabar thi raaz-e-dil apna aya.n ho jaega
kya KHabar thi aah ka shola zaba.n ho jaega
hashr hone de sitamgar hum dikha denge tujhe
pyara pyara ye gareba.n ungliya.n ho jaega
raat bhar ki hain bahaare.n shama kya parwana kya
subh hote hote ruKHsat karwa.n ho jaega
hashr mei.n insaf hoga bas yahi sunte raho
kuchh yaha.n hota raha hai kuchh waha.n ho jaega
is ko kahte hai.n jaha.n mei.n log sachchi ulfate.n
tir jab dil se khichega to kama.n ho jaega
aaDi sidhi paDti hai.n nazre.n tumhi.n par aaj to
majma-e-tar-e-nazar kya baddhiya.n ho jaega
hai yahi rang-e-suKHan to 'shair' shiri.n-zaba.n
tu bhi ek din tuti-e-hindusta.n ho jaega

********************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 435