donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ada Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* gulo.n ko chhu ke shamim-e-dua nahi.n aai *

Ada Jafri

 

gulo.n ko chhu ke shamim-e-dua nahi.n aai
khula hua tha daricha saba nahi.n aai
hawa-e-dasht abhi to junu.n ka mausam tha
kahan the hum teri aawaz-e-pa nahin aai
abhi sahifa-e-jaan par raqam bhi kya hoga
abhi to yaad bhi be-saKHta nahi.n aai
hum itni dur kaha.n the ki phir palaT na sake.n
sawad-e-shahr se koi sada nahi.n aai
suna hai dil bhi nagar tha rasa basa bhi tha
jala to aanch bhi ahl-e-wafa nahi.n aai
na jaane qafile guzre ki hai qayam abhi
abhi charagh bujhane hawa nahi.n aai
bas ek bar manaya tha jashn-e-mahrumi
phir us ke baad koi ibtila nahi.n aai
hatheliyo.n ke gulabo.n se KHun rista raha
magar wo shoKHi-e-rang-e-hina nahi.n aai
ghayur dil se na mangi gai murad ada
barasne aap hi kali ghaTa nahi.n aai

******************

 

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 237