donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Rahman Ehsan Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* aaankho.n mei.n murawwat teri ai yar kaha.n hai *

aaankho.n mei.n murawwat teri ai yar kaha.n hai
puchha na kabhu mujh ko wo bimar kaha.n hai
nau khat to hazaro.n hai.n gulistan-e-jaha.n mei.n
hai saf to yu.n tujh sa numudar kaha.n hai
aaram mujhe saya-e-tuba mei.n nahi.n hai
batlao ki wo saya-e-diwar kaha.n hai
lao to lahu aaj piyu.n duKHtar-e-raz ka
ai muhtasibo dekho wo murdar kaha.n hai
furqat mei.n us abru ki gala kaTunga apna
miya.n dijo use dam meri talwar kaha.n hai
jin se ki ho marbut wahi tum ko hai maimun
insan ki sohbat tumhei.n darkar kaha.n hai
dekhu.n jo tujhe KHwab mei.n mai.n ai mah-e-kana.n
aisa to mera tala-e-bedar kaha.n hai
sunte hi us aawaz ki kuchh ho gai wahshat
dekho to wo zanjir ki jhankar kaha.n hai
din chhine wo jab dekhiyo ghaarat-gari us ki
tab sochiyo KHurshid ki dastar kaha.n hai
us din ke hun sadqe ki tu khinche hue talwar
ye puchhta aawe wo gunahgar kaha.n hai
hanste to ho tum mujh pe wa-lekin koi din ko
rooge ki wo mera giraftar kaha.n hai
ai gham mujhe yan ahl-e-tayyush ne hai ghera
is bhiD mei.n tu ai mere gham-KHwar kaha.n hai
jab tak ki wo jhanke tha idhar mahr se hum to
waqif hi na the mahr par anwar kaha.n hai
us mah ke sarakte hi ye andher hai 'ehsan'
malum nahi.n raKHna-e-diwar kaha.n hai

***********************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 325