donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Siraj Dehlvi
 
Share this Design Poetry to Aalmi Urdu Ghar
SIRAJ DEHLVI : Saans Aayegi,Kahan Aasaar Hai Tere Baghair
        
Siraj_Dehlvi_732311420012596.jpg
BAZM-E-AHBAAB.! PROGRAMME-MAFIL-E-MUSHAIRA.! 

TARHI MISRA-YE JAHANE-RANGO-BOO BEKAAR HAI TERE BAGHAIR.! -------------------- 
Saa'ns Aayegi,Kaha'n Aasaar Hai Tere Baghair., 
Zinda Rehna Bhi Mujhe Aazaar Hai Tere Baghair,,
Chal Raha Hai Nee'nd Ka Aankho'n Se Jhagda Aaj Kal.,
Khwab Tak Bhi Dekhna Dushwaar Hai Tere Baghair,,
Tere Jalwo'n Se Hein Duniya Ki Hasee'n Raanaaiyaa'n., 
Warna Ye Kis Kaam Ka Sansaar Hai Tere Baghir,,
Khaam Hein Tere Bila Ye Aish Ke Saamaan Sab., 
Mahal Sone Ka Andheri Ghaar Hai,Tere Baghair,,
Maasiwa Tere Khushi Ki Waj'ha Koee Bhi Nahi'n., 
Dil Masaa'ib Se Mera Do Chaar Hai Tere Baghair,,
Khushnuma Manzar Hai Taa-Hadde-Nazar To Kya Karun., 
Ye Jahan-E-Rango-Boo Bekaar Hai Tere Baghair,,
Chain Yak Lamha Siraj-E-Muzrataib Paaye Bhi Kyun., 
Chaaragar Hi Iska Jab Laachaar Hai Tere Baghair....!

Siraj Dehlvi @ O.P.Agarwal 26/12/2014
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 412