donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Dr. Fareed Siddiqui
Poet/Writer
--: Biography of Dr. Fareed Siddiqui :--

Dr. Fareed Siddiqui

Dr. FAREED SIDDIQUI SAHIB 1923 meiN Rampur U P mein paida huey. Unka padaiyeshi naam Abdul Jaleel Siddiqui tha. Unke walid janab Abdul-Sattar Siddiqui eik nek teenat aur ilm dost insan the..unhone Dr. FAREED SIDDIQUI ki parvarish ILMI aur ADABI mahaul me ki. Dr. FAREED sb ne umr ke awayel se hi sher-goyee ka shaghl ikhteyaar kar liya..aur Sahab-e-sukhan Allama Abr-AHSANI sb se zanuye-talmmuz taiy kiya..Dr. sb ABR sahib ke sab se ziyada senior aur zood-go shagirdoN me shumaar kiye ja saktey they..Aabruye-ghazal Hazrat Dagh dehlevi ke silse munsalik Dr. FAREED SIDDIQUI sahib nihayat milansaaar, munkasirulmizaaj insan the. Mere sab se badey mamu the ustad bhi..un se bahut kuch seekhne ka sharaf mujhe hasil hai..Allah unki maghfirat farmaye aur jaware-rehmat me maqam ataa farmaye aameen!

UNKI KITABEIN
————————
(1)’:::::AAYINA- E- RAMPUR’ ( MAJMOAA-E-QATAAT)—2003
(ye majmooa qataat ki 1000 tadad par mushtamil hai jis me shakhsiyat ko 4-4 misroN qalamband kiya gaya hai…tadad ke lihaz se ye barre-sagheer ka pehlaKASEERUL-QAT’AAT majmoaa hai)

(2):::::’SHAQQUL-QAMAR'( MAJMOA NA’AT O MANAQIB)—2008

(3):::::JAAGTEY KHWAB'( GHAZLIYAAT) –2009

————————————

Mashoor aur mutafarriq Ashaar

INQELAABON KE BACHPANE AKSAR
JHOPDON ME JAWAN HOTEY HAIN

———————————

AB SE KUCH PEHLE TIRE HUSN-E-TASAWWUR KI QASAM
MAIN WAHAN THA K JAHAN GARDISH-E-AYYAM NA THI

—————————————

MUFLISI KA YE BHARAM KHOL KE RAKH DEIN NA KAHIN
NANHEY BACHCHON KO DUKANEIN N DIKHAOO YAARO

—————————————

 
You are Visitor Number : 2461