donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ashhar Nadeemi
Poet/Writer
--: Biography of Ashhar Nadeemi :--

Ashhar Nadeemi

Ashhar Nadeemi Hyderabad k ek chote se gauN Rangaredi mein 5 June, 1966 ko paida huey..unke walid janab Makhdoom Patel mourosi zamindaar gharane se talluq rakhtey they…intermediate ke baad kamzor maali halaat ki wajah se taleem jaari na rakh sake.. aur Hyderabad ke mukhtalif akhbaaraat mein mulazmat ki…1994 mein wo Mumbai aa gaye aur sah-maahi risala FIKR O FAN mein shareek mudeer ki hasiyat se kaam karne lagey…Jin akhbarat o jarayed mein wo likhte rahye ROZNAMA INQELAB (Mumbai) BLITZ, BIWSIN SADI, MUSIF HAYERABAD, SIYASAT HYDERABAD, KITAB NUMA, qabil-e-zikr hain..Shyari ka shighaf bachpan se hi tha..ibteda mein Hazrat ‘khairat nadeem’sahab ke shagird huye aur unke inteqal ek baad hazrat Nazeer Ali ádeel’se islah-e-sukhan li…

Ashhar Nadeemi ghazal aur nazm par yaksaan qudrat rakhte they..unke ashaar me zamane ki nahamwariyon ka zikr bhi hai aur ghame-rozgaar ki wardat bhi shddat se dekhne ko milti hai…

unki wafaat ke baad TANZEEM HAM HINDUSTANI , RIYADH, KSA ne unka kalam yakja karke SHAHKAAR ke naam se shaye kiya hai..jis meIn Tanzeem ke sadr janab Mohammad Quaiser Sahab ne marhoom ke is sher’ri majmooye ko manzar-e-aam par lane me ek aham role ada kiya.

Sher o sukhan ka ye sitara 4 November 2012 ko achanak mah-e-kamil banne se pehle hi ghuroob ho gaya.

***********************

 

 
You are Visitor Number : 2224